bewafaa

vo- ye tumhari nazaro ka asar hai
mai- mujhe bewafai ka darr hai
vo- mai tujhe har dam yaad karti hun
mai- tum sab ko yunhi barbaad karti ho?
vo- kya tu mera dard na samjhega
mai- tere jane k baad koi mera gam naa samjhega
vo-mai ye tujhse iqraar karti hun
mai- ye sab tum har baar karti ho?
vo- tum sa naa aaya jindagi me or koi?
mai- iss bali ka bakra tu dundh le or koi
vo- mai tum se pyaar karti hun
mai- isss dard ko sweekar karta hun

sab jankar bhi dard gale lga hi liya
usne mujhe apne qareeb bula hi liya
kar gya bhul jaankar iss dafaa
kya galti thi usski vo thi hi bewafaa
naa dekh saki vo meri wafa ka manzar
1 baar fir nadi ko le dubaa samundar
kiya ussne wahi jo usski fitrat thi
kiya humne bhi wahi jo uski hasrat thi
vo meri muhabbat ki manzil naa ban saka
mai usski manjil ka humsafar to ban gya.........................
06 nov 2011 - meld ongepast verhaal
Weet je zeker dat je dit verhaal wilt rapporteren? Ja | Nee
Profielfoto van sachin
sachin, man, 35 jaar
   
Log in om een reactie te plaatsen.   vorige volgende