koi ussko ye samjhaye

koi ussko ye samjhaye, apne kabhi rulaya nahi karte
vo haath thamte hai safar me,apna daaman chhudaya nahi karte
milate hai nazar nazaro se har dam,apni nazar jhukaya nahi karte,
de dete hai har khushi daaman me,jindagi bhar ka gam thamaya nahi karte
khade rahte hai raahe intzaar me didar ki khaatir,
muhabbat se intzaar karaya nahi karte
aksar dekha hai maine gairo par aitbaar karte tujhe
apna dard har kisi ko bataya nahi9 karte
mai to 1 raahgir hun teri raaho me mila sachin
tujhe masawra de diya teri nazakat dekh kar
har kisi ko hum apna khyaal bataya nahi karte
samajh ja abb bhi waqt hai musafir
do kashtiyo me safar karne wale kabhi manjil ko paya nahi karte

koi ussko ye samjhaye apne kabhi rulaya nahi karte.........
07 nov 2011 - meld ongepast verhaal
Weet je zeker dat je dit verhaal wilt rapporteren? Ja | Nee
Profielfoto van sachin
sachin, man, 36 jaar
   
Log in om een reactie te plaatsen.   vorige volgende