ae kaash kabhi aisa ho jai...........
ae kaash kabhi aisa hojai
ke ek gumanaam shehar main wo kho jaye
jis shehar main sirf main aur wo ho
aur tamaam umar ek dojay ke naam ho jaye
khayaalo tassavur main bus us ki yaadain ho
fikrain saari fana ho jain
matti ki bani wo aur matti ka bana main
ek doosrey main sama jain ek dojay main zam ho jain
misaal e heer ranjha ho ya ke ho shiery farhaad
naam humara un ke saath bilkul aisey hi amar ho jaye
kaisey kahoon aur kiya likhoun qalam ki saadgi se
jub sung ho wo tou hai khuwaish kuch aisi
aisa manzar chahe ke shaam dhaley per raat na aai
ae kaash kabhi aisa hojaike ek gumanaam shehar main wo kho jaye............
sachin, man, 36 jaar
Log in om een reactie te plaatsen.
vorige
volgende