gullistaan ki baat
gulistaaN kii baat rangiiN na maiKhaane kaa naam
phir nazar meN phuul mahke dil meN phir shama jalii
phir tasavvur ne liyaa us bazm meN jaane kaa naam
mohtasib ki khair, uuNchaa hai usii ke naam se
rind kaa, saaqii kaa, mai kaa, khum kaa, paimaane ka naam
ham se kahte haiN chaman vaale Gariibaan-e-chaman
tum koii achchha saa rakh lo apne viiraane ka naam
faiz unko hai taqaaza-e-vafaa ham se jinheN
aashnaa ke naam se pyaaraa hai begaane ka naam
siya, vrouw, 34 jaar
Log in om een reactie te plaatsen.
vorige
volgende