khwaab
kuch iss kadar khwaabo ko maine haqiqat banaya hai,
khud kaa jahan khwaabo se maine sazaya hai
jo kahte rahe hum hai sirf baato k sahanshah,
aaj humne unko khud par yakeen dilaya hai,
kabhi naa soya jin khwaabo ki wajah se,
jin khwaabo ne itnaa mujhko rulaya hai
koi kahde aaj vo sach nahi hai,
jo maine kar dikhlaya hai
kyaa paaya kya khoya maine
ye kaun jaan paya hai.
koi kahta khuda ka karam
koi mehnat ka rang laaya hai
kaun jaane iss khwaab ko paane k liye maine
kya kya or kab kab lutaya hai......
iski kimat na lagana koi
ye khwaab mera humsaaya hai.........
iss khwaab ko maine haan maine sach kar dikhlaya hai..........
sachin chauhan
sachin, man, 36 jaar
Log in om een reactie te plaatsen.
vorige
volgende