Na Chemistry hoti na main...

Na chemistry hoti na main student hota,
Na ye lab hoti na ye accident hota,
Abhi practical mein aayi nazar ek ladki,
Sundar thi naak us ki test tube jaisi,
Baton mein us ki glucose ki mithas thi,
Sanson mein ester ki khushboo bhi sath thi,
Aankhon se jhalakta tha kuchh is tarah ka pyaar,
Bin piye hi ho jata hai alcohol ka khumar,
Benzene sa hota tha uski presence ka ehsaas,
Andhere mein hota tha radium ka abhas,
Nazrein mili, reaction hua,
Kuchh is tarah love ka production hua,
Lagne lage us ke ghar ke chakkar aise,
Nucleus ke charon taraf electron hon jaise,
Us din hamare test ka confirmation hua,
Jab us ke daddy se hamara introduction hua,
Sun kar hamari baat wo aise uchhal pade,
Ignesium tube mein jaise sodium bhadak uthe,
Woh bole, hosh mein aao, pehchano apni auqat,
Iron mil nahin sakta kabhi gold ke saath,
Ye sun kar tuta hamare armanon bhara beakar,
Aur ham chup rahe benzaldehyde ka kadwa ghoont pee kar,
Ab us ki yadon ke siwa hamara kam chalta na tha,
Aur lab mein hamare dil ke siwa kuchh jalta na tha.
22 jul 2011 - meld ongepast verhaal
Weet je zeker dat je dit verhaal wilt rapporteren? Ja | Nee
Profielfoto van nimesh
nimesh, man, 35 jaar
   
Log in om een reactie te plaatsen.   vorige volgende