Shawoor-o-fikr-o-nudrat kaamraani le
Shawoor-o-fikr-o-nudrat kaamraani le ke chalte haiN
Balandi ilm-o-fun ki nuqta-daani le ke chalte haiN
ZabaaN hote hue bhi be-zabaani le ke chalte haiN
Hum apne saath nazm-e-Khaandaani le k chalte haiN
Shawoor-o-aagahi ki kahkashaani le ke chalte haiN
Hum apne sheroN meiN husn-o-ma-aani le k chalte haiN
Hamaara haal mat poochho, Faqeer-e-shahr haiN lekin
Hum apne saath dil ki raajdhaani le ke chalte haiN
LaDaa karte haiN pai-dar-pai zamaane meiN masaaib se
Agarche jism-o-jaaN meiN naa-tawaani le ke chalte haiN
Azeemul-martabat kahte haiN hum usko zamaane meiN
Jo apne saath Azmat ki nishaani le ke chalte haiN
JahaaN meiN Ilm ki hai qadr-o-qeemat is liye "nimesh"
Musalsal Ilm ki tashna-dahaani le ke chalte haiN
nimesh, man, 35 jaar
Log in om een reactie te plaatsen.
vorige
volgende