vo mujhe bhulane ki baat karte hai

jinhone kabhi mujhe yaad na kiya vo mujhe bhulane ki baat karte hai
pahle khushi cheen li abb gam ka bhi ilzaam rakhte hai
dubaya tune mujhe samundar k beech me fareb ka sahara lekar
chahne wale khushi ko mehbub ki kinaro par bhi dub jaya karte hai
jo kabhi rakhta tha tasveer ko meri tasveer k niche
vo hi meri tasveer ko jalakar ghar me roshni kiya karte hai
jo kabhi pehachan leta tha meri kadmo ki aahat dur se
vo aaj nazdeek se anjano ki tarah guzar jaya karte hai
jo kabhi jimda tha mere sath bitaye palo ki khaatir
vahin aaj meri yaado ko bhualaya karte hai
jo kabhi nahi chala raaho par bina mere sahare ke
unhi raaho par vo aaj sambhal gya hai or hum fisal jaya karte hai
11 nov 2011 - meld ongepast verhaal
Weet je zeker dat je dit verhaal wilt rapporteren? Ja | Nee
Profielfoto van sachin
sachin, man, 35 jaar
   
Log in om een reactie te plaatsen.   vorige volgende